ek dafa ALLAH tala nay hazarat MUSA (A.S) say irshad farmaya K may nay 6 cheezon ko 6 cheezon may chupa rakha hai. lekin log inhein gair jaga talash karty hain aur nakam rhety hain.
hazarat MUSA (A.S) nay wo 6 cheezin pochi, to ALLAH TALA nay farmaya.
1.ilm, ko bhook aur safar may chuppa rakha hai magar log isko watan aur shakam seri may talash kartu hain.
2.rahat , jannat may chuppa rakhi hai. lekin log isko duniya may talash karty hain.
3. izat, shab-e-bedari may chuppa rakhi hai. lekin log isko salateen k darbar may talash karty hain.
4.bulandi , tawaza aur inkasari may chuppa rakhi hai. lekin log takkabur aur guroor may talash karty hain.
5.dua, luqma e halal may chuppa di hai, magar log issay maal-e-haram may talash karty hain.
6.tonagri , , qanat may chuppa di hai magar log issay hris or lalach may talash karty hain.
No comments:
Post a Comment